Zindagi, Ek Anokha Safar – Episode 21

This story is part of the Zindagi, Ek Anokha Safar series

    Kuch hi ghante me Neha thik ho jati hai. Neha ke bagal me Sonam bua aur Trisha ki mummy bethi hui thi.

    Neha didi – Kahan hai Karan mujhe usse milna hai.

    Sabhi Neha ki aur dekh rhe the.

    Neha didi – Kya hua kahan hai Karan, aap log aise kyo dekh rhe hai. Sonam tu bta kahan hai mera Karan khan hai wo. Ye kahani aap desi kahani dot net par padh rhe hai.

    Bua – Tu aram kar wo thik hai.

    Neha didi – Nhi mujhe abhi milna hai usse.

    Ye kehte hi wo uthne lagti hai sahi usko mana karte hai. Nhi mujhe abhi ke abhi milna hai. Jahan mummy papa aur Sital didi ice ki taraf dekh rhe the. Neha ki ahat sun kar mummy Neha ke pass ja kar use apne gale se laga leti hai.

    Mummy – Tu kyo uthi tu toh thik hai naa.

    Neha didi – Main thik hoon, pehle aap ye bato ki mera Karan khan hai.

    Mummy uski baat ka koi jawab nhi deti hai.

    Neha didi – Mummy aap sab ki khamoshi meri jaan nikal rhi hai please koi kuch bato mujhe.

    Mummy se Neha lipat jati hai aur mummy se rote hue bolti hai.

    Mummy – Mera janu thik nhi hai. Wo kab se andar hai aur koi bhi bahar nhi aa rha hai.

    Neha ye sun rone lagti hai aur dono whin beth jate hai. Aise hi ek ghanta aur nikal jata hai. Sabhi ab ghabrane lagte hai. Sabhi nurse aur doctor bhag doud kar rhe the par koi bhi kuch nhi bol rha tha. Kuch der me icu ka gate khulta hai.

    Sabhi ek sath bole – Karan ab kaisa hai ?

    Doctor – Sorry sir, ab wo shayad hi bach payega. Bahot khoon nikal chuka hai aur pet me gehra ghaav hua hai.

    Mummy – Toh hum sab apna khoon de dete hai.

    Doctor – Madam jitni koshish karni thi maine kar li hai. Ab bhagwan ki marji hai.

    Neha ye sun kar gir padti hai aur rone lagti hai. Sabhi use sambhal rhe the. Dhire dhire time nikal rha tha. Karan ki dhadkan bhi ab kamjor pad rhi thi. Neha man me main tumse pyar karne lagi hoon Karan please wapis aa jao apni Neha ke pass. Mere pyar ki kasam hai please aajao.

    Agar tujhe kuch hua toh main khud ko kabhi bhi maaf nhi karungi. Tum kha karte the na ki agar mujhe jisi ladki mili toh sidha shadi kroge. Itna pehle chord kar jaoge toh hum dono ki shadi kese hogi. Tumhari Neha tumhare begar ek pal bhi tumhare begar nhi reh skati. Please wapis aa jao, tabhi docto aata hai.

    Papa – Kya hua doctor.

    Doctor – Sir main samjh nhi paa rha aisa case me humesha patient ki death hoti hai. Par pata nhi Karan me kya hai. Jo Karan ko dhire dhire wapis le kar aa rhi hai. Agar aisa kuch der aur chala toh Karan jaldi hi hosh me aa jayega.

    Ye sunte hi sab ke sab khush ho jate hai. Neha ki aur dekhte hai jo Karan ko dekhne me apni hi dhun me khoyi hui thi. Aise hi time aur nikal jata hai. Ab raat se subah aur subah se dophar ho jati hai. Tabhi Karan ko hosh aata hai aur Neha didi keh kar chilata hai.

    Nurse use shant karti hai aur bahar aa kar bolti hai.

    Nurse – Aap me se Neha kon hai, please andar aayie aapko Karan bula rha hai.

    Sabhi khush ho kar bole – Kya Karan ko hosh aa gya.

    Neha bhag kar andar jati hai aur andar jate hi Karan ko apni bahon leti hai.

    Karan – Kya hua didi aap kyo ro rhi ho, aao thik toh ho naa.

    Neha didi – Nhi main thik nhi hoon. Kyoki tum thik nhi hi, tumne mujhse vada kiya tha ki tum mujhe bina btaye khin par nhi jaoge. Fir mujhe chord kar tum itni door kese ja skate hi. Kya kaha tha tumne mujhe ki main teri jindgi hoon. Main teri hi aatma hoon.

    Karan aur Neha do jism ek jaan hai. Neha apne Karan ko kass kar apni bahon me bhar leti hai. Fir sab ek ek karke Karan se milte hai.

    Neha whin rhe kar sabko jaldi jaldi aage nikalne ko bolti hai. Kyoki ab Neha ko akele Karan ke sath time spend karna tha. Fit Neha Karan ke pass beth jati hai par tabhi doctor aa jata hai.

    Doctor – Aap bhi bahar jayie please.

    Neha didi – Nhi main Karan ke sath hi rukungi aap tension mat lo koi preshani nhi hogi.

    Doctor – Madam hum isse nind ka injection denge toh aap isse kese baat karegen.

    Neha didi – Aap ko jo karna hai kariye, main bs yahan baithungi.

    Doctor samjh jata hai ki ye pyar ka mamla hai isliye wo kuch nhi bolta. Fir wo Karan ko injection de kar whan se Nikal jata hai. Idhar Karan ko ab nind aane lagti hai. Fir wo dhire dhire nind ke aagosh me chala jata hai.

    Neha ne Karan ke hatho ko kass kar pakada hua tha, fir wo Karan ke chehre ko dekhti hai aur apna sir Karan ke bed par rkh kar wo bhi so jati hai.

    Kafi time nikal chuka tha par Neha abhi tak vapis nhi ayi thi toh sabhi uth kar dekhte hai. Unhone dekha ki kese Neha Karan ke hatho ko pakad kar so rhi hai.

    Mummu – Ye ladki bhi na abhi tak bachi hi hai. Jese bachpan me soti thi dekho aaj bhi wese hi so rhi hai.

    Papa – Haan tum thik keh rhi ho, bachpan me toh ek pal ke liye bhi Karan ko ankho se door nhi karti thi. Yaad hai wo din jab Karan ko humne uske mama ke ghar bhej diya tha.

    Ritu bua – Haan yaad hai kese isne kahana pina chord diya tha, aur jidd karne lagi thi ki mujhe Karan ke pass jana hai. Akhir me hum iski jidd ke aage haar gye the aur ise bhi mama ke ghar le kar gye the.

    Rupa bua – Wo din yaad hai maine jab Karan par hath uthaya tha uski sharaton ko le kar.

    Ritu bua – Are baap se baap us din ko kon bhul skata hai. Pure ghar me bhukam aa gya tha.

    15 saal pehle..

    Karan khelte hue Rupa bua ke room me chala jata hai jhan bua make up kar rhi thi. Kuch saman lene ke liye uthi thi Karan ne piche se aa kar unki chair ko side kar diya. Jab bua wapis chair par bethne lagi toh wo sidha jameen par giri. Karan side me khada hasne lagta hai. Bua Karan ki is harket se gusse se lal ho jati hai.

    Bua Karan ko marne ke liye khadi ho kar usko pakadne ke liye bhag rhi hoti hai. Par Karan bhi bhag nikalta hai par Karan apne chhote chhote kadmo se kab tak bachta, akhir wo aagan me pakada jata hai. Usi time Neha sidhiyo se niche aa rhi hoti hai.

    Rupa bua – Aaj kal teri sharaat bahot badh gyi hai. Ruk aaj tujhe main batati hoon. Fir bua ek thapad pyaar se Karan ko marti hai.

    Karna ko marta dekh ab Neha gusse me aa jati hai.

    Neha – Bua aapne ye acha nhi kiya, aaj ke baad aap mere Karan se baat nhi kar sakti. Mere Karan ke pass bhi nhi aane dungi main aapko.

    Rupa bua – Aise bol rhi hai jese main koi gair hoon.

    Neha – Haan ho aap gair kyoki aap ne Karan ko mara aur jo Karan ko marege wo mera dushman hai.

    Idhar sab log in dono ki baaten sun rhe the, Rupa bua aur maje lete hue boli.

    Rupa bua – Agar itni hi fikar hai tujhe toh badi ho kar shadi kar lena.

    Neha – Haan main toh sirf Karan se hi shadi karungi.

    Rupa bua – Acha toh tu apne bhai ko hi apna pati banayegi.

    Neha – Haan.

    Rupa bua – Aise hi hota hai gudiya.

    Neha – Nhi aap jhuth bol rhi ho, kyoki aap meri dushman ho main mummy se puchti hoon.

    Neha – Mummy kya main Karan se shadi kar skati hoon.

    Mummy – Nhi beti tum nhi kar skati kyoki tum bhai behen ho aur tum rkhi bhi bhandti ho.

    Neha – Thik hai ab se main Karan ko rakhi nhi bhandhugi aur fir Karan se shadi karungi.

    Sab ko Neha ki jidd ke bare me pata tha. Isliye mummy ne haan keh kar baat ko whin par khatam kar diya. Par Neha ne sach me us din se Karan ko rkhi nhi bandhi aur na hi Sonam ne rkhi bandhi. Ab Sital didi hi Karan ko rakhi bhandti hai. Ye kahani aap desi kahani dot net par padh rhe hai.

    Present Day..

    Rupa bua – Kitni jidi thi ye bachpan me.

    Ritu bua – Haan par bahot hi pyari thi.

    Papa – Wese yaad hai jab Sonam bhi rkhi nhi bandhi thi toh Neha puchti hai ki kya tum bhi mere Karan se shadi karogi. Toh Sonam ne bhi haan keh diya tha. Kyoki Sonam Neha ke sabse karib thi toh wo khushi se maan gyi thi. Fir Neha ne chila kar sab ko bataya tha ki main aur Sonam Karan se shadi kargen.

    Idhar Sonam un sab ki baten sun kar khush ho jati hai. Udhar college me Aadil aur Kiran ne sab ko Karan ke sath hue hadase ke bare me bata diya tha. Nisha ko jab ye baat pata chali toh wo Simran ko bahot hi gusse se dekhne lag gyi.

    Par Simran Nisha ke gusse ko samjh nhi payi. Nisha apne mann me soch rhi thi ki jarur Karan ki halat ke piche in dono ka hi hath hai. Fir wo college ke baad sidha hospital me chali jati hai. Karan ke paap Nisha ko jhat se pechan jate hai.

    Papa – Neha beti tum yahan.

    Nisha – Uncle wo Karan se milne aayi thi.

    Papa – Thik hai jao beta wo abhi abhi wo hosh me aaya hai.

    Fir Nisha room ke andar jati hai jahan par Karan bed par leata hua tha. Nisha ko dekhte hi Karan hi bola.

    Karan – Are Nisha aayo betho.

    Nisha – Kese ho Karan ab ?

    Karan – Main thik hoon, wese tum akeli kyo aayi ho tumhara boyfriend aur Aarif khan par hai.

    Nisha – Use mera boyfriend mat kehiye please wo ek number ka ghatiya aur gira hua insaan hai.

    Karan – Are ladai ho gyi hai kya ? Koi baat nhi main baat karta hoon usse tum fikar mat karo.

    Nisha – Nhi nhi aapne us ghatiya insan se koi baat nhi karni. Wese bhi main usse baat karti kyoki uska pura sach mere samne aa gya hai.

    Karan – Aisa kya kiya usne ?

    Nisha – Kya kiya sabhi ko hawas ki najaro se dekhta hai wo.

    Karan – Khain usne tumhare sath kuch.

    Nisha – Nhi abhi tak usne kuch nhi kiya par aage shayad karle.

    Karan – Matalb kya hai tumhara ?

    Nisha – Aapko main sab kuch bata dungi par pehle aap thik ho jaiye.

    Idher Neha gusse me Nisha ko dekh rhi thi, kyoki wo dusri taraf thi use kuch sunayi nhi de rha tha. Jab wo andar aati hai toh usse sirf itna hi sunta hai.

    Nisha – Acha aap apna khayal rkhiye please. Ab main chalti hoon bye get well soon.

    Karan – Bye thanks.

    Nisha fir whan se nikal jati hai. Neha Nisha ko jate hue dekhti hai aur fir wo Karan ke pass kar bolti hai.

    Neha didi guse me – Kon thi ye ?

    Karan – Bs friend thi jo mujhse milne ke liye aayi thi.

    Neha didi – Jhuth mat bolo koi friend aap keh nhi bolti.

    Karan – Ye aise hi bolti hai sab ko respect deti hai.

    Neha didi – Haan haan sirf yehi ek respect karti hai kya main nhi karti.

    Karan – Aap aur respect me 36 ankara hai.

    Fir Karan hasne lagta hai, Neha ye baat sun kar uske dil par bahot dhuk aata hai. Uski ankho me ansu nikl aate hai. Karan jese hi dekhta aur uska hasna band ho jata hai.

    Karan – Didi aap royo mat karo. Main toh aise hi majak kar rha tha. Aap toh sab ko respect deti ho. Aap bahot hi achi ho please ab rona band karo please.

    Neha didi rote hue boli – Nhi ji main sach buri hoon.

    Karan Neha didi ko gale se laga leata hai.

    Karan – Nhi didi aap sabe se achi ho, aap rona band kar please. Aap ke chehere par smile thik lagti hai asnu nhi.

    Neha didi fir rona band kar deti hai aur alg ho jati hai.

    To be continued.. agar aap ye kahani padhte rehna chahte hai, to please apna feedback jarur dijiye.

    Leave a Comment