Jeena Isi Ka Naam Hai

Kehte hain ki waqt se badi taqat is duniya mein aur koi nahi hain. waqt ke aage badi se badi chattan bhi jhuk jati hai to insaan kya cheez hain.jo insaan agar waqt ka kadra karta hain wo hi insaan duniya mein apna wajood kayam rakh pata hain. ek bar jo waqt nikal gaya wo kabhi wapas nahi aata magar kuch naseeb wale insaano ko hi waqt aur kismat dono milti hain. aur wo hi insaan safalta ke bulaandiyon ko chute hain. magar kuch aise bhi insaan hai jo waqt ke hathon majboor aur kathputlati matra bankar reh jate hain.aisa hi kuch mere saath bhi hua tha. main bhi waqt ke hathon ek khilona bankar bus rah gaya.

Main ACP Rahul malhotra aaj waqt ka sataya hua ek insaan jo waqt ke hathon ek khilona ke siwa aur kuch bhi nahi hai. Kehne ko to main ACP hoon magar aaj mere paas sab kuch hokar bhi kuch nahi hain. aaj mere paas bangla, gadi , naukar chakar sab kuch hai jo ek sampann parivaar mein hona chahiye ya usse bhi jyada .magar aaj na hi mere paas maa hai aur na hi baap.na koi bhai na koi behan. main aaj tanha hoon bilkul akela.na koi aage na koi peeche.Bachpan mein mere maa baap ka road accident mein death ho gaya tha. jab main matra 10 saal ka tha. abhi maine is duniye ke baare mein jana hi kaha tha ki meri duniya hi ujaad gayi.

Bachpaan se hi meri life struggle rahi hain. mere pitaji kaha karte they ki kabhi kisi par depend mat raho aur time is money. maine unke hi adarshon par chalkar aaj khud apni kadi lagan aur mehant ke bal par aaj apne aap ko is kabil banaya hai ki aaj meri khud ek hasti aur wajood hain. maine apni padai complete karne ke baad mujhe police ki naukari mili aur maine police ki naukari join kar li. Magar yaha bhi meri badkismati ne mera saath nahi choda meri zindagi mein bhi khusiyon ke phool khile magar waqt ne mujhse wo khushi bhi cheen li. ji haan meri khushi, mera pyaar, meri tadap, meri zindagi sab kuch wo jisne mujhe jeena sikhaya , pyaar kya hota hain bataya. magar aaj mere paas wo pyaar bhi nahi hai. waqt ne mujhse sab kuch cheen liya.aaj main yehi sochta hoon ki main zinda hoon bhi to sirf ek laash bankar reh gaya hoon. ab na hi mere jeene ki koi wajah hai na hi koi Manzil. ek meri manzil thi aaj wo bhi nahi hai ji haan wo naam jise main yaad karke pal pal marta hoon, wo naam jo meri rooh mein meri har saans mein aaj bhi zinda hai wo naam hain Radhika Sharma.

Wo radhika jise paakar mujhe manzil mil gayi thi, mujhe jeene ki wajah mil gayi thi. magar aaj bhi wo zinda hain meri har rome rome mein, mere ragon mein lahoo bankar . meri har saans mein meri dhadkan mein. main use kabhi bhula nahi sakta. khair jo hua wo waqt to wapas aa nahi sakta .aaj bhi wo pal yaad aate hi mere ankoon se ansoonwon ka ek sailab umad padta hai. baat tab ki hai
19-sep-2010

Aaj ke hi din mera appointment hua tha. aaj main bahut khus hoon. mujhe meri kadi mehnat aur lagan ke badulat aaj aapne aap ko is kabil banaya ki aaj agar mere pitaji zinda hote to aaj wo apna seena taan kar khade hote. maine shapath liya ki na hi main atyachaar sahunga aur na hi atyachar hone dunga. main apni naukari puri imandari aur kartavya se poora karunga. aaj meri naukari karte lagbhag ek saal ho chuka hai. itne dino mein maine kai typical cases bhi handle kiya hain. aur bahut se mujrimo ko jail ke salakhon ke peeche bhi dhakela hain. aaj bade bade mujrim mere naam se kaapte hain. aise hi mera din aaram se kat raha tha ki ek din main duty par tha aur kisi kaam se office ja raha tha. raste mein maine apni police jeep ek college cantene ke samne khadi kar di. aur mera constable Veer singh bhi mere saath tha.hum dono un hi hansi mazak kar rahe they ki samne se do ladki aati hui dikahyi di. kasam se kehta hoon maine aaj tak aisi sunder ladki kabhi nahi dekhi thi. gora rang 5.4 inch height, bahut sunder nayan, gulabi lips, aur figure to film actress bhi uske saame fiki pad jaye. aur uski saheli bhi bilkul waisi hi thi. gora rang lagbhag same height. almost sab same. par chehra dono ka bahut masoom tha.

hum dono bhi college cantene ke paas baithe they itne mein teen badmash college ke main gate se aate hue deekhayi diye. unki nazar jab un dono ladki par padi to un teeno ke bhi hosh udd gaye. ek gunda unka leader tha jagga. uska kaam hi tha roj roj ladai , mara piti, ched chaad koi usse panga bhi nahi leta tha. gandi surat, kala jism aur mooh mein paan chabate hue wo samne ke main gate par khada ho gaya aur un dono ladkiyon ka intezar karne laga.

Jagga- Yaar dekh to kasam se kya chidiya hai. sali pehle to nahi dekha isko. lagta hain nayi aayi hain. jo bhi hain kasam se pataka hai.
itna sunte hi jaaga ka dost ramu bol padta hain

Ramu- Are jaaga bhai is ladki se panga mat lo yaar.
Jagga- Kyon be kahin ki maharani hai kya.
Ramu- are maharani se bhi badhkar hai yaar .ye sali atom bomb hai. jab ye fategi to tera bhi pata nahi chalega. yaad hain na manish naam ka ladka. are usne ise chedney ki galti kar di thi bus fir kya tha sali ne uska aisa band bajaya ki bechara isko aankh utakar bhi dekhna to door isko door se dekhte hi wo apna rasta badal deta hain. aur kabhi sanjog se wo samne aa jaye to puch mat yaar lagta hai sala pant mein su-su kar dega.

Jagga- Aisa kya,! lagta hai ye to tikhi mirch hain. aur tu to janta hai ki mujhe tikhi cheez kitna pasand hain.
jagga ka dusra dost shyam- ha yaar ramu theek hi to keh raha hai kyon is ladki se bewajah panga le raha hain. tujhe chedna hi hai na tu chal na koi aur ladki ko chedtey hain.

Jagga- Itna sunte hi jagga ka para garam ho jata hain. aur kehta hai sale tum dono is ladki se dar gaye sale na-mardo kahin ke. dekh ab main kaise akele hi in dono ko sabak sikhata hoon. tum log bus tamasha dekhte jao. dekhna aaj jaaga kaise in do take ki laundiyon ko apne neeche lata hai…. itna kehkar jaaga unke taraf chal padta hai. jagga ko samne se aata dekhkar nisha ghabara jati hai aur apni saheli se kehti hai…..

Nisha- radhika yaar please chal na kahin aur chalte hain mera mann nahi kar raha hai is cantene mein jaa ne ka.
Radhika- Yar tu bhi ajeeb hai itne deer se keh rahi hai mujhe bhook lag rahi hai aur ab canteen aa gaya to keh rahi hai kahin aur chalte hain.

Nisha- Baat ye hai na ki wo gunda jaaga dekh hamare hi taraf aa raha hai. tu usko nahin janti ek number ka lafanga aur badmaash hai. aaye din har ladki ko chedta rehta hain.

Radhika- bus itni si baat hai. tu bhi is do take ke gunde se ghabraa gayi. tu chinta mat kar agar wo humse panga lega to sala bahut pitega.

Nisha- are tu nahin janti is se koi panga nahi leta. bahut khatarnak hai ye. main to kehti hoon agar ye kuch bole to bus tu chup chaap nikal jana. bus kuch bolna nahi .

Tabhi jagga unke kareeb aa jata hai…………….

Jagga- Kyon re chidiya tera naam kya hai.
Radhika- aapse matlab. aap kaun hote hain puchane wale.

Jagga- are e sali ,e to humse hi sawal kar rahi hain. tu janti nahi hain ladki hum kaun hain. naam hai jagga. naam tu tumne suna hi hoga.

Radhika- Kyon koi film actor ho kya jo tumhara naam suna hai. tum jaise do take ke aadmi se humein koi baat nahi karni. jaao apna rasta napo. itna sunte hi jaaga ka para garam ho jata hai.

Jagga- tu janti nahi humko main is area ka dada hoon sab log mujhe salam karte hain. agar jo puch raha hoon chup chaap bata de nahi to ……………… itna bolte hi jagga chup ho jata hai,

Radhika- Nahi to kya…………… kya kar loge. radhika gusse se usko dekhkar bolti hain.
Jagga- Tujhe yahin beech sadak par nanga karke ghumaunga. itna sunte hi nisha darr se saham jati hain aur radhika ko dhere se bolti hain.

Nisha- Are radhika kyon baat ko bada rahi hain. jane de na aise logon se humein panga nahi lena chahiye.

Radhika- thik hai nisha isko bol de ke ye mujhse mafi maang le. main yahi par baat khatam kar deti hoon. itna sunte hi jagga zor zor se hanse lagta hain.

Jagga- maffi aur wo bhi is chori se. are meri chidiya agar tu meri baat maan le tu main tujhe rani banakar rakhuga. phir tujhe koi bhi aankh utha kar nahi dekhega.

Nisha- dekhiye please humein jane dijiye. radhika ke taraf se main aapse mafi mangti hoon.

Jagga- are meri chidiya tu kya samajhti hai ki tere mafi mange se main tum dono ko jaane de dunga kya. agar ise main apni rani banaunga to tujhe apni rakhail……..

Radhika- Dekhiya mr. jagga ji aap apni hadd se aage badh rahe hai. aap apne aukaat mein rehkar baat kijiye. warna anjaam bura hoga.
Jagga- Accha to tu bataiyegi mujhe meri aukaat. dekhhu tu zara main bhi to ki tu mera kya bagad legi.

Itna sunte hi radhika ka chehra gusse se laal ho jata hai aur wo ek call karti hain. radhika ko call karte dekh kar jagga zor zor se hanse lagta hai aur bolta hai.

Jagga- Lagta hai apne boyfriend ko bula rahi hai mujhko pitwane ke liye. zara main bhi to dekhun kaun sala mard paida ho gaya jo jaaga ko chuu bhi sake.

Radhika- phone par baat karte hue – hello sir mujhe ek jaaga naam ka aadmi pareshan kar raha hai aur bahut batadmizi se pesh aa raha hai. radhika aab tak jo baatein hoti hai wo puri baat bata deti hai aur kuch apne taraf se bhi namak mirchi laga kar jod deti hai.
udher se awaaz aati hai kya wo aadmi abhi bhi aapke paas khada hai. radhika ha mein jawab deti hain. udhar se awaz aati hain zara madam please phone use dijiyega. main usse zara baat karta hoon .

Itna sunte hi radhika usko phone thama deti hai………………………………………………
Jagga- Abe kaun bol raha hai be. kis sale ki maut aayi hai jo jagga se panga le raha hai.Udhar se awaz aati hai – to aap hi jagga hai. are bhai kyon aap un dono ladkiyon ko bewazah pareshan kar rahe hain.aapki bhalai isi mein hai ki aap chup chaap waha se chale jaiyaiye warna anjaam bura hoga.Itna sunte hi jaaga ke sar par khoon sawar ho jata hai aur wo zor se chilla kar bolta hai

Jagga- agar saccha mard hai to phone par kya baat kar raha hai .dum hai to samne aa kar jagga ka samna kar. tujhe yahi par zinda jameen mein dafan kar dunga.udher se awaz aati hai- Dekhiye bhai sahab zara tameez se baat kijiye main aapse kaidey se baat kar raha hoon iska matlab aap kuch bhi bol denge. aap ki bhalai………………
baat puri hone se pehle jagga bol padta hai- agar apne maa ka dudh piya hai to aa ja samne tujhe abhi pata lag jayega ki jagga kya cheez hai.

Udher se phir – aap wahi par rukiye hum abhi aate hain. zara bataiye is waqt aap kaha par hain. hum abhi pahunchte hain.

Jagga- chal aa ja main is waqt IIMT college ke main gate par hoon dekhta hoon tu mera kya bigad leta hai. itna kehkar jagga phone kat deta hai aur zor se hansta hai.

Jagga- Lagta hai hizron ki fauz aa rahi hai mujhko marne ke liye.
jagga ghoor kar radhika ko dekhta hai aur dheere se kehta hai- Waise ek baat bolu meri rani agar tu mere saath chale to main tujhe maaf kar sakta hoon. agar tu mere neeche ek baar aa ja fir tu dekh maa kasam teri dil nahi karega mujhe chod kar jane ko. janti hain mere kela bahut bada aur mota hai. pure 9′ inch ka hai. tujhe bahut maza dunga.

Itna sunte hi radhika ka para ekdum high ho jata hai
Radhika- ab tak main teri har baat ko mazak mein taal rahi thi ab tujhe batati hoon ki main kya cheez hoon. itna kehkar radhika zor se chilla kar bheed ikatha karti hai

Radhika- Bhaiyon aur behnon zara please meri baat suniye . waha khadi bheed radhika ki awaaz sunkar sab log ikatha hone lagte hain.
Radhika- Ye bhai sahab aap logon se kuch kehna chahte hain. itna sunte hi jagga ka chehre ka rang udd jata hai aur wo ek dum se ghabra jata hai.

Jagga- dheere se ye kya tamasha kar rahi hai tu. chal in logon ko yaha se door bhaga.

Radhika- dekhiye bhai logon ye jagga aap sab se apni kuch personal baat batana chahte hain. zara aap sab inhi se puch lijiye.
jagga ko to jaise saap sung jata hai aur wah chah kar bhi ek shabdh nahi bol pata hai.

Tabhi bheed mein se ek awaaz aati hai – Are bhai kya personal baat batane wale ho zara hum bhi to sune.
Jagga- Wo……….main…… kuch…………nahi……….koi …..baat……….nahi…… bus………aap……….sab …..chale …jaiye….
Radhika- Kya jaaga ji zara inko bhi to bataiye aap to mujhe jabarjasti baat bata rahe they. aap batayenge ki main bol du…………..

Jagga- dekhiye……….. wo……. koi ………baat……na…na….nahi………………
Itne mein phir ek awaz aati hai- Are bhai aisi kaun si personal baat hai jo tu inko keh sakta hai aur humein nahi . bata na.

Radhika- Ye bhai sahab apne kele ke bare mein baat kar rahe they. radhika jaaga ki ore dekhte hue bolti hain zara inhe bhi to bataiye na.
Itne mein phir awaz aati hai- Abe kaun se kele ki baat kar raha hai khane wala ya wo wala.

Jagga to to jaise kuch samaj hi nahi aata ki wo kya bole. aur wo chup ho kar bheed ke beech mein chup chap khada rehta hai.
phir ek awaz aati hai- Abe kya size hai tere kele ka zara humein bhi to bata. in ladkiyon ko to batane mein sharam nahi aa raha tha aur ab sala sharmata hai .

Jagga- wo baat …. hai na…. mujhe ….kuch ……….galatfehmi ………. ho gayi………….thi.

bheed mein se phir dusri tarf se- abe bata na kitna inch ka hai tera kela.
jagga ko ab mazbooran bolna hi padta hain- aur wo bus itna hi bol pata hai 9′ ka.

jagga ka dasha dekhkar uske dono dost ramu aur shyam dheere se khisak lete hain.
Radhika- are jagga ji zara khul kar in logon ko bhi bataiye na apne kele ke bare mein.

Itne deer mein kuch ladkiyan bhi bheed mein se nikal kar jagga ki ore badti hain. aur jagga bilkul ghabra jata hain.
Radhika- dekhiye inme se koi bhi aadmi inke upar hath nahi uthyega. aaj inka baraat yahi maujood sari ladkiyaan hi nikalengi.

Uske baad to bheed mein se kai aur ladki apna jutti , sandal , aur kuch ladke apna belt nikal kar ladkiyon ko thama dete hai aur uske baad jagga ki wo pitayi hoti hai ki uska mooh sooj jata hai .

tabhi police ki sairan ki awaz aati hai aur kuch police wale jeep se utar kar aate hain. police ko aata dekh kar waha maujood bheed ek side mein ho jati hain.

Ek police wala- Haan to kisne mere pass abhi phone kiya tha. inmein se radhika aur nisha kaun hain. aur wo harami jagga kaun hai .

Radhika- Maine hi aapko phone kiya tha sir. aur jagga ki ore ishara karte hue. ye hi hai jo aapko dhamki de raha tha. keh raha tha main hi is area ka dada hoon . aur sir apko bahut gandi gandi gali bhi de raha tha.

Itne deer mein us police wale ki nazar inspector rahul par pad jati hai aur wo rahul ko aane ka ishara karta hain.rahul unke nazdeek aata hain.

Policewala- sir is waqt main ek bahut zaroori meeting mein tha. magar aapka call aaya iske wajah se mujhe aana pada.

Rahul- chaliye khan ji aapne meri baat rakh li aur samay par aap aa gaye. ye hi hai jagga ise le jao aur iski itne aache se kahtidari karo ki iski dadagiri sab jail ke salakhon ke peeche gum ho jaye.

Khan- sir aap chinta mat kijiye aise do take ke tapori ko main seedha karna bahut aache se janta hoon.
Radhika- Iska matlab aap mere kahney par yaha nahi aaye. radhika khan se puchati hai.

Madam aisi koi baat nahi hai aap ka call bhi humare liye important hai magar humein sir ke kahney ki wajah se is waqt aana pada.
Khan- Sir is situation ko to aap easily handle kar sakte they phir aapne humein kyon bulaya.
Rahul- yaar aise chote mote gunde se ulajhkar main apni reputation kharab nahi karna chahta tha. isliye.

Ab chaukney ki bari radhika ki thi-
Radhika- Iska matlab main is gunde se itni deer tak ulajhti rahi uska koi value nahi hai kya..

Rahul- are madam aap to waikaye mein bahut strong ladki ho. aapki himmat aur buddhi ki to daad deni chahiye.
Thodi deer baad police ki gadi jagga ko pakad kar le jati hai aur fir mahaul pehle jaise ho jata hai.

Radhika- Accha thankyou inspector sahab. aapne jo hamari madad ki . chalo nisha aab hum canteen chalte hain.

Nisha- Yaar kaisi ladki ho tum ye sahab ne humari itni madad ki aur tum bus thankyou bol kar ja rahi ho. yaar chal kar kuch chai naste inke saath kar lete hain.

Radhika- Are nisha tu nahi janti in policewalon ko sab ek jaise hi hote hain.

Rahul- sab nahi madam kuch log hai humare department mein. is samaj mein har type ke insaan hote hain kuch aache kuch bure. agar ek bure insaan se humein pareshani hoti hai to pure samaj ko to bura nahi keh sakte na.

Nisha- Are chod na yaar tu bhi bus har baat lekar baith jati hai chaliye sir aap humare saath chalkar chai cofee pee lijiye.

Rahul- Thik hai . itna kehkar rahul un dono ke saath canteen mein chala jata hain.

Rahul- Cool down madam. aapki saheli sahi keh rahi hai aap bhi choti choti baat ko lekar chalti hain. Tabhi rahul kuch snacks aur chai ka order deta hai.

Rahul- Are aap dono ne to aapna naam bhi nahi bataya.
Nisha- Mera naam nisha Agrawal hain. main isi college ke second year ki student hoon aur b.com kar rahi hoon. aur ye hai meri best friend radhika sharma . ye bhi meri class mate hai.

Rahul- Waise radhika ji aapko gussa bahut aata hai. aap to sachmuch atom bomb hain. itna kehkar rahul hanse lagta hain. by the way iam inspector rahul malhotra. main police mein join hue lagbhag ek saal ho gaya hain.

Radhika- Gusse se aapko kisne bataya ki main atom bomb hoon. zara bataiye mujhe abhi sale ka sir food dungi.
Rahul- Haste hue are wo jaaga ke saath do aadmi they na wahi keh rahe they. maine khud suna.

Nisha- Sir aap waha par khade they to aap ne humein bachaya kyon nahi us jagga se.
Rahul- Da-asal main ye dekhna chahta tha ki wo log tumhari saheli ko atom bomb kyon bol rahe they. mujhe laga ki ye agar such mein atom bomb hai to zaroor kuch dhamaka karegi. lekin sach kahu aapki saheli atom bomb se bhi badhkar hai.

Radhika- to ab aap bhi mujhe wahi naam se pukarne lage.

Rahul- I am sorry radhika ji main bus mazak kar raha hoon. aap such mein bahut bahadur hain. main aapko sachmuch salute karta hoon.
agar aap jaisi ladki rahe aur jiska aisa irada ho to gunde badmash to kisi ko bhi chedne ki galti nahi karenge.

Nisha- are sir aap radhika ko nahi jante isne bade bade kisse kiye hain. main ise 8 saal se janti hoon. abhi tak jisne bhi ise propose ya cheda hai isne to uski puri band baja dali hin.

Rahul- Bhai abhi to main thodi der free hoon aap chahe to inka kissa humein bata sakti hain.

Radhika- Huma gair logon ko apni baat batana zaroori nahi samajhte. itna kehkar radhika nisha ko chalne ka ishara karti hain.
Nisha- Yaar please ruk na kyon tu har baat ko seriously leti hai. nisha ke bolte hi radhika apni seat par dubara baith jati hain.

Nisha- Jante ho sahab ….
Rahul- Please nisha ji aap mujhe sahab mat kahiye aap mujhe rahul bula sakti hain.
Nisha- ok rahul ji ek baar jab main iske saath cinema se aa rahi thi tabhi Akash mere college ka hi ladka hai wo radhika ko bahut pyaar karta tha. bechara subah shaam raat din radhika ka hi naam leta tha. ek din uske doston ne kah diya are pyaar karta hai to ja kar propose kar de na. pata chala ki tu uska naam leta reh jayega aur koi aur usko patakar byah racha lega.

Bus fir kya tha wo bus inko propose karne ki galti kar baitha jante ho rahul isne uska kya jawab diya………..

Akash- Radhika main tumse bahut pyar karta hoon. main tumhare liye pagal jaise yaha se waha , waha se yaha din raat bhatakta rehta hoon. please radhika meri is bimari ka ilaaz tum hi kar sakti ho . main tumhare pyaar mein is kadar pagal ho chuka hoon ki mujhe tumhare siva kuch dikahyi nahi deta radhika i Love you.

Radhika- Accha to aap mere pyaar mein pagal ho gaye hain. mere saath chaliye main aapki bimari hamesha ke liye thik kar deti hoon.

phir kya tha radhika ne ek number par call kiya aur uski byke par baith gayi.
Rahul- fir Kya hua…

Ye maharani us bechare ko sachmuch pagal khane le kar chali gayi usko waha bharti karane ke liye. is liye usne pagal khane walon ke adress par phone kiya tha.

Rahul- ha ….ha………ha meri hansi nahi ruk rahi nisha ji …….phir kya hua uske saath…ha.ha..

Nisha- Jab wo wahi pahuchi to do constable unke taraf aate dikhayi diye. abhi bhi akash ko kuch samaj nahi aa raha tha ki radhika usko kaha le ja rahi hai.

Pehla aadmi- are madam aapne hi humare paad phone kiya tha kya.
Radhika- Ha. Akash ki ore ishara karte hue ye hi hain wo bhai sahab. itna sunte hi dono aadmi usko laghbhag ghaseete hue ward mein le jate hain aur electric shock uske brain mein fit kar dete hain. akash ko sab samaj aa jata hai ki main sachmuch pagal khane aa gaya hoon.

Bus fir kya tha akash zor zor se kehta hai ki main pagal nahi hoon .
Dusra Aadmi- Har pagal yahi bolta hai. chinta mat kar do teen shock mein tera dimag kuch sahi ho jayega.

itna kehkar wo dono uska hath pair bandh dete hain aur electric shock ka 2 – 3 jhatka dete hain. aur akash behosh ho jata hai.

Fir radhika auto pakad kar ghar chali aati hai aur akash kaise bhi karke do teen ghante mein bhag kar wapas aa jata hai.
Rahul- Ha. ……..ha……. Ha…. yaar radhika aap to sachmuch kamal ho.

ab bechara jab bhi isko dekhta hain ulte paun bhagta hain. (TO BE CONTINUED) Kahani padhne ke baad apne vichar niche comments me jarur likhe, taaki hum apke liye roz aur behtar kamuk kahaniyan pesh kar sake – DK

Leave a Comment